Maday Ki Bimari aur Kamzori

Here you can read stomach disease remedies that are very helpful for your stomach. Best home remedies for stomach disease in Urdu. Insani jisam ak khooadkar machine hai Qudrat ny ise aise banay hai k is ka har ak hisa apni hudood main reh kar kaam karta hai. Jab insan apny jisam k hison ka khayal nahi rakhta aur inhain in ki marzi k bagair had sy ziada istemal karta hai tou in main bimariyan peda hony lagti hain. Maida insan k jisam ka ek eham hissa hai. Insani jisam main tawanai, nashonuma aur harkat ki bunyad isi main hoti hain. Insan jo bhi kuch khata hai is ko hazam karna aur us khanay main sy tawanai ko nikalana isi maiday (stomach) ka kaam hai. Is waja sy hamain jisam k baki hison k sath sath apny maiday (stomach) ka bhi khas khayal rakhna chahiye. Bay waqt khana khana aur ziada khana khana maiday (stomach) ki Bimari aur kamzori ka bais ban sakti hai. Pait k dard aur hazmy k liye ak zaroori totka neechy dia gaya hai.

Maday Ki Bimari aur Kamzori

Pait Ky Dard Aur Hazmay Ke Liye Chaye

  • Green Tea ki ek chutki ya 3 sy 4 patty lain.
  • Sonf adha chaye ka chamach lain.
  • Podina safaid ek chutki.
  • Choti Ilaichi ak adad.
  • Dar Chini Adha inch ka Tukra.

Procedure:

Sab sy pehly 2 glass pani pateli main daalin aur us main ye sab cheezain daal dain aur paani ko obaal dain jb paani obal kar adha reh jaye tou us main shehad shamil kar dain. Aur is ko din main 2 baar istamal karain aur agar khany ka soda shamil kar dain tou ye bachun k pait k liye bohat mufeed hai. Is sy maiday (stomach) ki Bemari aur Kamzori ka khatma hojaye ga.

Maiday Ki Tezabiyat Ka Ilaj

Maiday (stomach) ki Bemari ap ko har marz sy bacha sakti hai. Maiday (stomach) ki tezabiyat door karny k chand tareeky neechy diye gaye hain.

  • Rozana chilky samait ak apple khayen.
  • Podinay ki ak tehni ko 1 liter paani main obal lain aur din main 3 dafa ye paani piya jaye tou maiday (stomach) ki tezabiyat door hojaye gi.
  • Maiday (stomach) ki tezabiyat door karny k liye apni giza main adrak aur papeeta shamil karain.
  • Chaye main lemon ka ras ya shehad shamil kr k piyen.

Maiday Ky Liye Totkay

  • Khana Khany sy pehly paani pia jaye jis ki waja sy maiday (stomach) ka size barh jata hai aur bhook kam hojati hai.
  • Khanay kay doran beshak paani pee lain lakin baad main pani hargiz na pia jaye.
  • Papeeta maiday (stomach) ki sehat ky liye bohat mufeed hai. Hazmay ko theek karta hai aur wazan ko kam bhi karta hai.
  • Khana khany k baad sonf k istimal sy maida asani sy giza hazam kar leta hai aur jisam ko achi khorak mil jati hai.
  • Sham ki chaye ki jaga green tea ka istimal kiya jaye tou ye maiday k liye ziada acha sabit hoti hai.
  • Lemon grass tea or adrak ka kawa maiday ke liye bohat mufeed hai.

You can also Check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *