Khoobsurti sirf chehre ki nahi hoti balk hathon aur paon ki bhi hoti hai is liye zarori ha k ap chehre aur hathon k sath sath apny paon ka bhi khayaal rakhain. Askar log paon dhoty bhi nahi hain aur agar dhoain bhi tuu sara paani se dhoo letay hain is ka koi faida nahi hai kun k bacteria tu abhi bhi maujood hai jo aapke paon ko nuqsan dy skta ha. Isliye aap ko chahye k jab bhi paon dhoain achi trha paon ki fingers aur heels bhi saaf krain ick sath sath towel lay kar exfoliate karain aur phir inko dry kar lain. Yeh tu rooz marha ka kaam hai apko daily krna chahye is ke liye paon ki safai in urdu yahan bataen gae ha jis ma kuch tips ha ju paon ki khoobsoorat rakhne k liye istamal ki jaa skti hain. Paon ki safai in urdu ki tips bohat asan hain.
Paon Ki Safai or Hifazat In Urdu Tips
Paon ki safai k liye ap yeh tips aram se use kar sakte hain ghar per.
Tip No 1
Paon ki safai in urdu ka pehle totka bohat asan ha ju k ap asani se istamal kar skty hain
Glycerine | 1 Tablespoon |
Arq e Gulab | ½ Big Bottle |
Lemon ka ras | 3 tablespoon |
Yeh teeno cheezain lay kar inko achi trha mix kar lain aur kisi bottle ma daal kar rakh lain. Daily raat ma sotay waqt icko apny paon per istamal karain. Jb sbho jagain tu paani se wash kar lain. Ic se apk paaon ma jald hi farq aey ga aur rangat saaf ho jaey ge.
Tip No 2
Paon ki safai in urdu ki yeh tip phati hui airiyuon k liye ha.
Rogan e Zaitoon | 1 tablespoon |
Paani | Neem garam |
Sab se pehle aik tub ma neem garam paani lain aur phir ic ma 1 tablespoon rogan e zaitoon daal dain aur icko mix kar lain. Ic paani ma ab takreeban 20 minute k liye apny paaon bhego kar rakhain aur 20 minute bad paani se nikal kar saaf kar lain. Ic se apk paon naram ho jaen gy aur aririyaan bhi saaf ho jaen gi.
Tip No 3
Phati hui airiyuon k liye aik aur tip yeh ha. Ic kliye apko 2 cheezon ki zarorat pary ge.
Moom | 1 tablespoon |
Charbi | 1 tablespoon |
Moom aur charbi aur 1 jitni miqdaar ma lay lain aur phir aag per phigla lain. Phiglany k bad icko apni airiyoun per laga lain aur yaad rahany k thori garam ho tab lagain wrna thandi ho jaey get u paon per lagy gi nahi. Paon per lagany k bad socks pehan lain. Kuch ghanton tak pehan kr rakhain aur phir paani se dhoo dain. Kuch din yeh tarika isatamal karain. Jald hi apki airiyaan saaf ho jaen gi.
Yeh thi paon ki hifazat in urdu. Aap in tips ko istamal karain ta k aap k chehre k sath sath aapke paon ki khoobsurti ma bhi izafa ho.
You can also Check:
- Nails Lambe Karne Ka Tarika
- Garmi Dano Ka ilaj
- Maday Ki Bimari aur Kamzori
- How to Wash your Hands
- Pimple Hatane Ke Tarike