Fish Fry Recipe in Urdu

Fish is the global meal enjoyed in every corner of the world. Fish comes in the category of sea foods and people from around the world crave for this marine creature. Fish not only delivers exotic taste to your taste buds but also bring unlimited benefits to human health. Fish oil contain omega 3 fatty acids and the flesh contain essential proteins which help in cell growth and develop immunity against harmful diseases. Prawns, shrimps and crabs are other sea foods that are widely consumed around the globe. There are many fish fry recipe in Urdu are available on the net from which you can prepare tasty fried fish in minutes.

Fish Fry Recipe

Fish ki bohot iqsam hain. Bunyadi tor per fish ya to daryai hoti hai ya samandari. Ramas, rahu, pomfret, dother fish ki woo iqsam hain jo Asia mein bohat shauq se khai jati hain. Fish ko kai tarhan se say pakaya jata hai jis mein sab se ziyada marghoob fried fish hai. App machhli ko kai tareeqay sey tal saktey han agar aap waqai ek asan fish fry recipe in Urdu ki talash mein hain to ye fish fry recipe in Urdu aap key liye haazir hai.

Fish Fry Recipe In Urdu | Ingredients

  • Fish:1 kilo turkey
  • Adrak lehsan :2 tablespoons
  • Zeera powder (bhuna hua ):1 teaspoon
  • Lal mirch:21/2 tablespoons
  • Haldi:1/2 teaspoon
  • Namak: hasb-e-zaiqa
  • Lemon juice:1 medium lemon .
  • Oil:1/2 cup

Method:

Ye fish fry recipe in Urdu ek nihayat aasan tarkeeb hai magar zaiqey mein is ka koi jawab nahin.

  1. Machchli ke tukron ko achhi tarah dho lein yahan tek key tamam badboo nikal jaaye. Kisi bhi fish fry recipe in Urdu to istemaal kerney sey pehley machhli ko namak miley paani se dhona zaroori hai kyunkey fish ki badboo uskey zaiqey ko daba deti hai.
  2. Machchli mein kaantey bhi hotey hain is liye dhoney ke baad kaantey ho sake to alag ker lein warna finger fish ya fillet banwalein.
  3. Ab in tukron pr tamam ashiya jaisey ke adrak ehsan,zeera powder,namak,mirch,haldi aur leemoon ka ras laga ker 2 sey 21/2 ghantey ke liye fridge mein rakh dein
  4. Ek karhai mein adha cup tel gram karein,phir aanch halki ker ke machhli ke turkey daal dein .Machli ke tukron ko dheemi aanch per 810 minute tak talna chahye take fish ander sey kachchi na rahey
  5. Agar aap finger fish ya fillet istemaal ker rahe hain to 5 minute tak talna kaafi hoga.
  6. Jab ek side sey machli sunehri ho jaaye to us ka rukh palat dein aur donon side sey sunehri ho jaaney per chula band ker key utaar lein .
  7. Machli key taley huey tukron ko tissue paper ya akhbar key kaghaz per rakhein take wo izaafi tel jazb ker ley

Fried fish aaaloo ke chips ke saath bohat maza deti hai .Agar aap is ki tarkeeb jaanna chahein to fish fry recipe in Urdu ke bajaey search mein fish and chips recipe in urdu ke alfaaz likhein.

Jo log fried fish ko thori si gravy mein khana pasand hain who is  fish fry recipe in urdu with gravy ka  istemaal  karein. Jo fried fish recipe in urdu aap ko batai gai hai machchli talney key liye usi ko istemaal krein magar gravy ke liye darj- e -zel tarkeeb aazmain.

For Fish fry recipe in urdu with Gravy | Ingredients:

  • Tomatoe:3
  • Pyaz:2 medium chopped(pisi hui)
  • Garlic paste :1/2 teaspoon
  • Lalmirch:1 teaspoon
  • Namak:hasbe-zaiqa
  • Hara dhaniye key pattey aur bareek kati hari mirch:sajawat ke liye.

Method:

Thora sa (1 tablespoon) tel garam karein aur pisi hui pyaz aur lehsan ka paste shaamil kar ke halka sa bhoonein. Jab pyaz murjha jaye aur gulaabi ho jaaye to tamatar daal ker bhoonein  ab is mein namak aur laal mirch shamil karein aur jab tel ooper aa jaye to halkey sey fried fish ke turkey chhor dein .Bareek kati hari mirch aur kata hara dhaniya daal kar halki aanch per dhakkan band ker key dam dein .Lazeez fried fish with gravy tayyar hai.

You can also check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *