Gajar Ka Halwa

Gajar ka halwa aik bohat hi mazy daar sweet dish hai. Agar ap ko ye dish banani nahi aati tu pareshan na hoon. Ayen hum apko seekha dete hain Recipe Of Gajar Ka Halwa In Urdu.

Gajar Ka Halwa

Ajza (Ingredients)

  • Gajar 1 kg.
  • Doodh 2kg.
  • Ghee 1pao.
  • Milai 1pao.
  • Chinni 250gram.
  • Ilaichi 2 sy 3 adad.
  • Badam hasb e zaroorat.
  • Ubly andy 2 adad.

Gajar Ka Halwa Tareeka

Gajar ko kaddu kash kar k karhai mein dalain. Aur sath mein hi doodh bhi daal dein aur dheemi aanch par itna pakain ke doodh khushk ho jaye aur gajar gal jaye.

Phir ghee daal kar bhoon lein aur sath mein hi malai bhi daal dein aur khoob bhoonein. Is k baad cheeni daal dein aur musalsal chamcha chalain jb tk cheeni ka pani na khushk ho jaye.

Akhir mein elaichi aur badam daal kar utaar lein aur ubly andon k slice kar k opar rakh dein aur pesh karain.

You can also check:

Check Also

Recipe of Cake in Pressure Cooker

Recipe of Cake in Pressure Cooker

Cake is the most used baking item. Cake cutting ceremony has become custom now. On …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *