Zaitoon Ke Tail Ke Fayde

Zaitoon ke tel ke fayde bohat zada hain jiski waja se iska istamal bohat log karty hain. Zaitoon ke tail ki malish karny se aapke jism ko taqat milti ha aur har tarha k dard se bhi aaram milta hai aur kahin zakham ho tu marham ma zaitoon ka tail mix kar k lagane se is se bohat aaram milta ha. Pehle sirf zaitoon ka phal istamal kia jata tha ab zaitoon k leaves, phal aur tel sab istamal kia jata ha. Zaitoon Ke Tail Ke Fayde itnay zada hain k iska istamal log khanay ma bhi karty hain. Ic se khanay ka zaiqa bhi acha ho jata hai aur unko zaitoon ke tel ke fayde bhi mil jate hain.

Zaitoon Ka Tail

Zaitoon Ke Tail Ke Fayde Yeh Hain:

  1. Baalon K Liye Mufeed

Zaitoon ka tail balon k liye bohat mufeed ha. Zaitoon k tail ko sar ki baalon ki skin per lagain ick ealwa baalon per bhi achay se lagain aur lagany k bad plastic ki cap se cover kr lain. Adhay ghantay k bad baalon ko shampoo kar lain. Ic se apk baal shine krain gy, khushki bhi khatam ho jaey ge aur baal khoobsurat nazar aen gy.

  1. Paaon Per Istamal

Agr apk paon  rough aur phatay huay hain tu zaitoon ka tail paaon per bhi istamal kia jaa skta ha. Thora saa zaitoon ka tail lay kr paaon per laga lain aur socks pehan kar rakhain. Kuch din yeh tarika istamal karain. Jald e apk paon naram aur saaf suthray ho jaen gy.

  1. Baloon Ki Khushki K Liye

Zaitoon ka tel baalon ki khskhi khatam karny ma bohat madad deta ha. Ick liye ap Shampoo, zaitoon ka tel aur paani mix kar lain aur baalon ma laga kar achay se ic se massage karain. Ick bad balloon ko shampoo kar lain. Kuch arsa yeh tarika istamal karain jald e apk baalon ki khushki door ho jaey ge aur ick sath sath apk baal thick bhi ho jaen gy.

  1. Chehre K Wrinkles Khatam

 Aksar khawateen chehre per jhuriyon ki waja se pareshan rehti hain. Zaitoon ke tel ke Fayde ma aik eham faida chehre se jhuriyon ka khatma ha. Zaitoon ke patoon se ju arq nikalta ha wo oily aur acne wali skin k liye bohat acha hota ha. Zaitoon k tel lay kar chehre per massage karain yeh skin ma namii peda karta ha apki skin latakti nahi ha aur ic trha jhuriyan bhi nahi parti.

  1. Ankhon K Gird Juhriyon Ka Khatma

 Zaitoon k tel k zariyay aap ankhod k gird juhrioyn ko bhi khatam kr skty hain. Ick liye ap malmal ka kapra lain aur icy zaitoon ke tel ma dip kar k ankhon k gird lagain magar ic baat ka khayal rakhain k ankhon ma tel naa jaey ta k apki ankhon ko nuqsaan na pohchay. Yeh tareeka ap kuch arsa istamal karain jald hi ankhon k gird jhuriyan khatam ho jaen gi.

  1. Sayah Aur Sakht Kohniyuon Ka Elaaj

Aksar log apni sayah aur sakht kohniyoun ki waja se pareshan hoty hain kun k sayah kohniyoun  ki waja se wo half sleevez nahi pehan paati aur icy saaf krna bhi mushkil hota ha. Ick liye ap thora sa zaitoon ka tel lain aur apni kohniyoun per ic se maalish Karen. Kuch e arsay ma apki kohniyoun ki jild saaf aur naram ho jaey ge aur ap aram se half sleevez pehan sakain gi.

  1. Zaitoon Body Scrub

Bazar se mehangi aur bekaar scrub istamal karny ki bajaey ap zaitoon body scrub istamal kar skati hain ju k kuch dino ma apki skin ko naram aur mulaim kar dy ge aur rangat bhi saaf ho jaey gi. Zaitoon body scrub banay k liye apko in cheezon ki zaroorat ha:

  • Zaitoon ka tel
  • Namak
  • Cheeni

Ye teeno cheezain hasb e zarorat lay lain aur phir plastic ka bowl lain phle us ma zaitoon ka tel dalain aur phr namak aur cheeni daal kar mix kar lain apki zaitoon body scrub ready ha. Ab ic se apni body per massage karain . aur kuch arsay ma heratt angaiz result dekhain.

  1. Zaitoon Ke Tel Se Makeup Utaarain

Zaitoon ke tel ke fayde ma aik aur faida yeh bhi ha k ap ic se apna make up utaar sakty hain apko expensive makeup removers buy karny ki zarorat nahi ha. Sirf cotton lain aur usy zaitoon k tel ma dip kar lain aur ic se ab makeup remove karain. Ic se apka makeup bhi utar jaey ga, skin glow karny lagy gi aur rangat bhi saaf ho jaey ge.

  1. Kamzoor Nails Ka Hal

Agr apka nails kamzoor hain aur zara si chot per toot jaty hain tu icka hal bhi zaitoon k tel ma maujood ha. Ap aik bowl lain aur us ma zaitoon ka tel daal lain aur apny nail ko takreeban 10 minute k liye us ma dip kar k rakhain aur kuch din yeh tareeka ap istamal Karen ic se apk nails strong hon gy aur un ma chamak bhi ajaey ge.

  1. Lips Ko Pink Karny Ka Tarika

Agr apk lips khushk aur phatay huay hain aur ap chahty hain k apk lips pink aur soft hon jaey tu icka elaaj bhi zaitoon k tel ma ha. Ap har roz raat ko sonay se pehle apny lips per thora sa olive oil laga kar soain. Har roz raat ko yeh tarika use karain kuch dino k bad hi zaitoon k tel ki waja se apk honton ki sayahi kam ho jaey gi apk hont pink aur khoobsurat ho jaen gy.

Yeh hain zZaitoon Ke Tail Ke Fayde – olive oil benefits in urdu. Yeh tips koi bhi istamal kar sakta ha kun k yeh natural tips hain jinka nuqsaan nahi hota balk ink istamal se kae zada faiday aik sath aap ko milty hain. Yeh economical bhi ha kun k apko bazaar se koi expensive ingredient buy nahi karna parta.

You can also check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *