Sar Dard Ka ilaj

Kam ka dabao, gharelo jahgry nazar ka kmzor hona gharz k bohat si chezein sar dard (headache) ka sabab banti hain. Sar ka dard poray jisam ko by-chain kar deta hai. Kisi kam mein dill nahi lagta. Tabiat main susti peda ho jati hai. Doctor ki dawein khaney sy wqti sukoon tou aa jata hai magar is k baad effects mazeed paryshani ky bayees banty hain. Idr udr ilaj dhondny sy acha hy k ham gharelo totaky azmayen. Yahan ap ko Sar Dard Ka Ilaj bataya jaraha hai.

Sar Dard Ka ilaj

Sar Dard Ka ilaj

  • Podeenay (mint) k patton ko aik cup paani main dalyn aur is ko khoob obal lein jab podeena apna rang chor day tou is main chand qtry lemon k ras k mila lein is ko peenay sy sar dard theek ho jaye ga.
  • Zaitoon ya nariyal k tail ki sar par maalish karny say sar dard theek ho jata hy.
  • Neem garm sarsoon k tail ki gardn aur kandhon ki maalish karny say sar dard main kaafi fark parta hai.
  • Neem garm paani main paon (foot) 20 minutes k liye daal lein. Sar dard kam ho jaye ga.
  • Coffee ka istimaal (use) sar dard ko kam karta hai aur tension sy chutkara dilata hai.
  • Chanmbyli (jesmin) ki chaye sar dard main behtareen dawa sabit hoti hai.
  • Lehsn (garlic) k jaway (cloves) pees kar paste bana lain is sy sar ki maalish karyn araam mehsoos ho ga.
  • Subha subha 1 saib (apple) chilka otaar kar khayen aur is main namak zaroor shaamil karyen 1hafty tak ka istimal sar drd sy chutkara day ga.
  • 1 cup paani main 1 khany ka chamach adrak ka powder shaamil karyen is paani ko apny maathy (forehead) py laga kar 15 minutes k liye chor dein sar dard theek ho jaye ga.

You can also check:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *