Bachpn sy jawani tk hamari zindgi main kitny hi aisy mawaqy aaty hein. Jb hamara pait kharab hota hai. Andaza lagaya geya hy ky American loog hr sal ek crore dollar sy ziada raqam aisi medicines ki khareed pr sarf karty hein jo pait kharab ka ilaj hein. In medicines ka maqsd pait kharab, aphara, seeny ki jalan, adam ishtiha, reyahe dard, chakar, sar dard, qabz aur vomit wagera sy nijat dilana hota hy.
Pait Kharab Ki Wajohaat
- Ziada khana ya jaldi main ghiza khana.
- Intestines ky nuqs ki waja sy puri tarhan ghiza ko chabaa kr naa khana.
- Gham ya guse ky jazbaat ky waqat ghiza khana.
- Dimagi masrofiyat aur taraddud ky waqat khana khana.
- Ziada tanmbaaco (Tobacco) noshi karna.
- Qabz (Constipation).
- Ghiza ko puri tarhan sy naa paakana.
- Ghiza main roghan ki ziadti.
- Baaz khusoosi ghizayen jesy Kakrhi, Muli, Bengan, Gobhi wagera khana.
Pait Kharab Ka Ilaj
- Patients ky liye mutwazin ghiza khana lazmi hy. Hr mareez ko is ky mizaj ky mutabiq ghiza ka intikhab krna chahiye.
- Ghiza khoob chaba kr khaani chahiye aur kabhi bhi jaldi main thoosni nahi chahiye.
- Khaty waqat mizaaj khush, mahool khamosh, dill khushkun aur dillchasp hona chahiye.
- Ghiza khany ky foran bad tanmbaco (Tobacco) noshi hargiz na ki jaye.
- Ghiza ko khoob pakaya jaye, ghiza bhook lagny waali honi chahiye aur aitidaal ky sath khani chahiye, yani naa km na ziyada.
- Ghiza khany ky baad tabiyat ko ghabrahat sy door rakha jaye.
You can also check: