Baalon mein oil lagane ka tarika ye hai k baalon ki jaaron ko tar kar ke khoob malish ki jaye aur hafty mein ek do baar andy ki zardi laga kar naha lia jaye. Is sy na sirf baalon ki jarain mazboot hoti hain balky ye ghany aur chamak daar bhi hoty hain. Bohat si long hair tips mojood hain un main sy ak neechy di jarahi hai.
Baal Lamby Karne Ka Tareeka
Mootiya aur amla ka oil bhi baalon k liye bohat mufeed hai aur agar ye khalis hoon tou ye baal ko kaaly aur lamby karty hain.
Ajza (Ingredients)
- Chukandar 1 kilo.
- Khushak Amla 250 gram.
- Mehndi 120 gram.
- Dasma 120 gram.
- Till ka tail (oil) 500 gram.
- Andy (eggs) 8.
Tareeka (Procedure)
Sb sy pehly amla, mehndi aur damsa ko 1 kilo pani main daal kar obaal dain aur khayal rakhain k aag halki honi chahiye. Jab paani adha reh jaye tou chukandar daal dain aur jb ye sab movaad gholnay lagy tou is main andy tor kar un ki zardi daal dain. Is ko musalsal hilaty rahain aur thori dair baad is mein tillon ka tail daal dain aur khoob obala dain. Jb sara paani jal jaye toh aag par sy utaar lain aur Thanda hony dain. Jab ye thanda hojaye tou isy nathar lain. Aur rozana is tail ki malish karain is oil sy baal khoob lamby aur chamak daar hoty hain ye long hair ka bohat acha oil hai.