Lamba Hone Ka Tarika

Zindagi main har koi kisi naa kisi mushkil ka hi shkar hota hai. Kisi ko apna jisam patla lagta hai tou kisi ko mota. Kisi ko apna rang gora lagta hai tou kisi ko kala, aur har koi is qisam ki kami ko pura karny ki koshish karta rehta hai taaky us ki shakhsiyat pur kashish ho jaye. Isi tarhan lamba hona kuch logon ky liye mushkil hota hai. Lamba hone ky liye loog bohat sy tonic istimal karna shuru kar dete hain. Lamba hone ky kuch totky yahan bataye jaa rahy hain.

Lamba Hone Ka Tarika

Behtareen Khorak

Apni khorak main sb ajza shamil karain jo ky lamba hone ka bayees banty hain. Lamba hone ka sab sy behtar tarika ye ho ga ky ap ki khorak munasib ho. Agr ap ki khorak main lamhiyat, chiknai, vitamins, namkiyat sab kuch shamil ho ga tou aap main kisi qisam ki koi kami nahi rahy gi. Ap ko apni sehat ka khayal apni warzish ky sath sath rakhna hoga. Ye dono cheezain ap ko ek sath hi karni hoon gi. Sach tou ye hai ky warzish aur munasib khorak hi ap ko lamba hone main madad kar sakti hai.

Apni khorak mein protein ka istimal ziada karain. Protien sbz patton wali sabziyon jesa ky paalak wagaira, doodh dahi, gosht (meat) wagaira mein pai jaati hai.

Isi tarhan paani bhi achi mikdaar mein peeyen kyn ky paani peeny sy metabolism behtar hota hai jo ky lamba hone ka eham tarika hai.

Warzish (Exercise)

Walk ziada sy ziada karain jesa ky school ya market pedal jayen, shopping ky liye walk kr ky jayen, walk aur jump wali exercises jesa ky rasaa phalangna lamba hone mein mufeed saabit hota hai.

Wo game karain jis mein ap ko stretch krna parta hai wo bhi lamba hone ky liye achi hoti hain jesa ky basketball aur tennis etc.

Isi tarhan kuch yoga exercises bhi lamba hone ky liye achi hain.

Soty waqat lamba hona

Soty hoye jisam ki growth ziada hoti hai. Rozana 9 sy 10 ghanty ki nind ap ko lamba hone ky liye mufeed hai.

You can also check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *