Kharish Ka ilaj

Kharish aik aisa marz hai jo insan ko har jaga ruswa karta hai. Sb k samnay kharish karna zara mayub sa amal lagta hai. Aur agr kharish sar main ho tou joonein (leis) honay ki fikar lag jata hai. Kuch totky neechy likhy jaa rahy hain.

Kharish Ka ilaj

Kharish Ka Ilaj ( Totky)

  • Jisam ya kharish wali jaga ko achi tarhan garam paani sy dho lain aur khushk hony pr kisi karway tail (oil) ki achi tarhan maalish karain kharish khatam ho jaye gi.
  • Zaitoon ka tail (Olive oil) ya badam ka tail (almond oil) jisam ki kharish ya itching ky liye mufeed hain. Dono mein sy koi ek oil din mein 2 baar istimal karnyn sy kharish mein kami ati hai.
  • Apny jisam ko neem garam paani jis main sufaid (white) sirka (vinegar) mix hua ho kam sy kam 15 minutes k liye bhigo dain kharish k liye ye aik behtareen ghareloo nuskha hai.
  • Namak ka ghiza main istimal aksar kharish ka sabab banta hai koshish karain k namak ka istimaal kam sy kam karain.
  • Baking soda aur paani ka paste bana lain kharish waali jaga par lagyen kharish khatam ho jaye gi. Ya 1 cup baking soda nahanay wali balti mein mix kr ky naha lein.
  • Kharish aksar khuski ki waja say hoti hai badam ka tail (almond oil) is k liye mufeed saabit ho sakta hai is ki maalish karny say kharish khatm ho jati hai.
  • Neem k patty ya us ka tail kharish khatm karta hai.
  • Vitamin E waly tail kharish ko khatm karty hain.
  • Neem ky patton ko paani main obaal kar us sy nahayen kharish khatm ho jaye gi.
  • Nahany k baad koi bhi oil ya moisturizing cream kharish waly hisay par lagany se khushki khatm ho gi aur kharish se nijaat mily gi.
  • Balon (hairs) ko hafty main 3 se 4 baar sarsoon k tail ki maalish karny se khushki khatm hoti hai aur kharish se bhi nijat milti hai.

You can also check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *