Jhuriyan Ka ilaj in Urdu

Here you can read amazing Face beauty tips. By using these tips you can remove you wrinkles. Chehre par jhuriyan parna aam tor par dhalti umar ki alamat tasavur ki jaati hain lakin baaz oqaat nojawan (young) larkiyon ky chehron par bhi jhuriyan moujood hoti hain.

Jhuriyan Ka ilaj in Urdu

  • Jadeed tehqeeq ky mutabiq jild (skin) mein nami kam ho tou jild (skin) dheeli hona shuru ho jati hai jo ladies jild (skin) ko munasib tawajoh nahi deti wo aksar aisi sorat-e-haal sy do char hoti hain zaroori hai ky rozana mamool ky kamoon ky sath sath jild (skin) ky liye bhi kuch waqat nikala jaye.
  • Sab sy pehly jhuriyon ki bunyadi waja yani jild (skin) mein nami ki kami ko door karen pani ka ziyada sy ziyada istimal kiya jaye ta kay jild (skin) ko khushki (dryness) sy bachaya jaa sakay.
  • Mamool sy warzish (exercise) karny wali ladies ki jild (skin) bhi ziyada arsay tk pur kashish aur tar o taza rehti hai.
  • Bhar poor jismaani sar garmiyon mein shareeq honay ki waja se jild (skin) mein ak khaas dil kashi payda hoti hai jab ky jismani sar garmiyon sy mehroom zindgi guzarny wali ladies ka moamla is ky bar aks hota hai.
  • Doodh aur doodh sy bani cheezain aur ziyada miqdaar mein fruits ky juices ka istimaal bhi sehat par musbat asraat martab karta hai.
  • Massage, facial aur mask bhi chehray ki jhuriyon ky khatmy mein eham kir daar adaa kar sakta hai.
  • Chehray par thandi balai (malai) ka massage bhi jhuriyon ky liye eham hai, rozana kam as kam 15 minutes tk chehray par balai ka massage karyen, massage ky doran ap ky hathon ki harkat hamesha opar kaan ki taraf honi chahiye.
  • Jhuriyon se nijaat ky liye facial aur mask bhi bohat eham hain, is maqsad ky liye anday (egg) ki safedi ka mask behtreen hai, usy 10 minutes tk chehray par laga rehny dain aur phir taaza pani sy chehra dhoo lain.
  • Isi tarhan 1 chitank dahe lain aur is mein 2 chamach shehad (honey) milaa kr lagana bhi intahai mufeed sabit hota hai.

You can also Check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *