Green Tea Ke Faide

Qudrat ny insan ko bohat si naimaton sy nawaza hai. Insan in ko shumar karna baithe toh shumar nahi kar sakta. Bohat si naimaton ka tou insaan ko shayad ilam bhi nai hy. Insan bohat si cheezain jo hamary liye qudrat ka anmol tohfa hain un ko dhoond chuka hai. In hi mein sy aik naimat Green Tea. Is article ka maqsad ap ko Green Tea Ke Faide In Urdu btana hai.

Green Tea Ke Faide

Green Tea Ke Faide In Urdu

  • Green tea jild (skin) mein jalan ya kharish (rashes) paida karne wale masail (problems) ke liye bohat ziada mufeed hai.
  • Green tea ky pattay, halki kharash, kharish, daag aur dhaboo ko door karne ke liye bhi bohat ziada faiday mand sabit hoty hain.
  • Apko aur apki jild ko ziada der tak rehne wali khoobsurati aur jawan nazer anay mein ap ki madad karti hai.
  • Un tamaam anasir ko jo k ap ko borhapay ki taraf ly jatay hain, un ko kam krny mein be had faida mand hai.
  • Chehray pe daanay (pimples), keel (acne) kam krny mein bohat ziada madad gaar sabit hoti hai.
  • Soraj ki roshni sy paida hony wale masail ke liye bhi sood mand sabit hoti hai.
  • Jild k sartan (cancer) sy bachny k liye lemon ka rass mila kar sabz chaye (green tea) istemal ki jati hai. Jo k bohat mufeed bhi samjhi jati hai.
  • Sabz chaye, un logon ky liye bhi bohat mufeed hai jin ko khushki (dandruff) ki shikayat ho. Khushki (dandruff) chahay balon (hair) mein ho ya jild par, sabz chaye ky istamal sy kafi had tak is maslay par qaboo paya ja sakta hai.
  • Garmiyon ke mausam mein, agar sabz chaye ki pattiyon (leaves) ko kuch der pani mein bhigo (dip) ke rakh dain aur baad mein paani ko fridge mein rakh diya jaye tou jab bhi aap dhoop ya garmi sy ghar ayen is pani ko apny chehray par roii (cotton) ki madad sy lagane sy ya chirkanay (spray) sy apki jild taro taza ho jati hai. Is k ilawa ankhon (eyes) ko thandak pohncha ny ke liye bhi ye nihayat kaar aamad hai.
  • Chehry ki ronaq bahaal karne ke liye aur jild ko narm o mulaim karne ke liye, 3 khany ky chamach mayonnaise mein 1 chaye ka chamach sabz chaye mila kar mask tayar kar lain aur 15 sy 20 minutes tak chehre par laga rehnay dain. Phir paani sy dhoo lain aur koi bhi acha moisturizer lagayen agar ap ko chehra khushi mehsoos ho.

You can also check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *