Garmi Dano Ka ilaj

Agar ap garmi dano se parsahan hain tou neem ki 11 shakheen 7 din tak nihar mou paani k sath pee lijiye. Garmi danay khatam ho jayenge aur agar ziada takleef hai tou 40 din tak piyen. Agar garmiya shuru hony sy pehly ye course kar lain toh garmi danay nai hon gy.

Garmi Dano Ka ilaj

Totkay For Garmi Danay In Urdu:

  • Garmi danay us waqt nikalte hain jab hum bohat zaida garmi mein nikalte hain is sy bachnay ky liye hamay koshish karni chahiye ky suraj ki garmi jab apni intaha par ho tou us waqt ham bahir na niklain balkay apnay kam ya tou subah  kar lain ya phir sham ko pura kar lain.
  • Garmi dano ki dosri waja gandhi bhi hai. Agar ham rozana na nahayen aur jisam ko saaf na rakhain tou bhi garmi danay nikalty hain. Hame chahiye ke rozana kam az kam aik dafa zaroor naha lain. Bohat log din mein 2 sy 3 dafa bhi naha lete hain takay wo din bhar ki gandagi aur thakan sy bach jayen. Hamary jisam par jahan bhi paseena khushk hota hai aur wahan pani sy safai nahi hoti tou garmi danay nikal atay hain.
  • In garmi dano ki waja sy bohat mushkil pesh aati hai aur garmi ki shiddat mein izafa ho jata hai. Saaf pani sy nahana in garmi dano sy bachne ka aik bohat acha tareeka hai.
  • Garmi danay agar nikal aayen toh zindagi aik mushkil mein aa jati hai. Kapry pehan na aik masla hota hai kyon ki jahan bhi kapry lagtay hain wahan par takleef hoti hai.
  • Puranay totkon mein sy aik ye bhi hai ki agar neem ky paani sy naha liya jaye tou in garmi dano sy jaldi nijat mil jaati hai. Neem ky pattay puranay zamanay sy anti-bacterial hony ki waja sy mashoor hain. In patton ko ubal kar in ky paani sy naha leny sy jaldi safai ho jati hai aur garmi dano ki mushkil sy jaldi chutkara mil jata hai.
  • Neem ky darakht har jaga asani sy mil jatay hain aur is ky pattay utar kar un ko obalna kafi asan hai. Neem sy bana huwa  sabun (soap) bhi milny laga hai aur is ka asar bhi utni hi jaldi hota hai.

Aam tor par garmi dano ki bari waja dhoop aur garmi hai lakin spicy food yani masalay daar khano se jitna mumkin hai parhaiz karain aur isi tarhan coffee bhi na piyain. Is tarhan bhi garmi dano se nijat mil sakti hai.

You can also Check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *