Facial Karne Ka Tarika

Roz marha k kaamo k liye hamain bahir aana jaana parta hai aur dhoop mein bhi nikalna parta hai lakin ic sab kamo ki waja se hamari skin bohat zada mutasir hoti ha. Skin pe bohat dirt ikathi ho jati ha ju k hamara rang bhi kala kr deti hain. Apni skin ko saaf rakhne k liye hamain kuch na kuch karna chahye ta k chehre ki khoobsurti barqarar reh saky. Ick liye facial sab se best hal ha. Facial k liye facial kare ka tarika bhi aana chahye. Facial karne ka tarika asan hota hai aur ghar per beth kar bhi facial kia jaa skta ha. Ic article ma sb se asan facial karne ka tarika btaya gya hai jis se jald hi aap ki skin fresh aur neat ho jaey ge.

Facial Karne Ka Tarika

Facial mask tiyar karny k liye apko in cheezon ki zarorat pary ge

Badam pisay huay 2 teaspoon
Multani Mati 4 teaspoon
Jaifal Pissa hua 1 teaspoon
Rose water Hasb e zaroorat

Facial Karne Ka Tarika or Tips

Facial karne ka tarika sab se asaan yeh ha.

  • Sab se pehle yeh cheezain lain aur inko bari bari mix kar lain
  • Mix karny k bad ic ma arq e gulab add kr dain aur thick sa mixture bana kr rak lain.
  • Ic mixture ko taqreeban 20 minute k liye para rehne dain ta k sb cheezain proper mix ho jaen.
  • Ab apny face ko thanday pani se achi tarha wash kar lain.
  • Ab aik bartan ma paani lain aur icy boil kar k steam ikathi karain.
  • 10 minute tak garam paani se steam lain.
  • Ab cotton ki help se apna chehra achi tarha saaf kar lain.
  • Phr alag se cotton lain garam paani ma bhigo lain aur ic se face saaf krain.
  • Aesa karny se apk face se tmam dirt kahtam ho jaey ge aur facial ka result acha aey ga.
  • Ju mixture ap ny pehle banaya tha ab usko apny chehray per laga lain.
  • Jb yeh dry ho jaey tu aram se massage karty huay icko face se utaar dain.
  • Face se utaarny k bad ab thanday paani se face wash kar lain.

Face wash karny k bad apko apny face ma clear farq mehsoos hoga apka chehra shine kar raha hoga aur chehre ki siyahi aur dirt b khatam ho jaey ge. Ic facial ko ap maheenay ma 2 bar istamal kr sakti hon. Facial karne ka tarika sab se asaan ha. Ic se aap ka rang bhi saaf ho ga aur apki skin bhi fresh rahy gi. Ap facial karne ki tips note kr lain aur zaroor try karain.

You can also Check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *