Coriander Benefits: Dhaniya ke Fayde

Coriander, synonymized as Cilantro or Chinese parsley is a globally–recognized, culinary and medicinal ingredient that lies in both  categories of herbs and spices. Coriander has been used for thousands of years and it is regarded as one of the first herbs used in 5000B.C. This historical herb is mentioned in the famous TALES OF THE ARABIAN NIGHTS as well as it is considered as the symbol of immortality by ancient Chinese culture. This primitive spice holds amazing healing and flavoring properties. The fresh minty leaves of coriander plants are used as herbs while the tan peppercorn resembling seeds are added as flavored spice in world-wide dishes.

Dhaniya ke Fayde

Classification And Healing Properties

Coriander is native to Southern Europe and Southwestern Asia .It is commonly termed as Dhania in south Asian territories .Botanically this herb belongs to the umbelliferae (Parsley) family and is popular for its countless medicinal or healing benefits. The stalks are tender and possess the same flavor as the leaves while the seeds contain some sweet-pungent mixed taste of orange peel and sage. The leaves are generally used to garnish the meal. A very small amount is enough to deliver intense flavor and aroma in the food. The therapeutic benefits are very effective. Coriander is widely used as an anti- diabetic, anti- spasmodic, or a carminative agent etc. This ingredient provides exclusive health bounties in skin and beauty care and is used to treat itches, acne, inflammation and rashes.

Purchase And Care

If you are at a grocery shop to buy a bunch of fresh coriander, look for vibrantly deep green leaves that are crisp and unspotted. It is better to use fresh leaves but there are some tips to store coriander leaves and seeds for a longer duration. For this you can freeze the leaves after wrapping the bunch in a foil as well as you can store the seeds in an airtight container and keep the jar in a dark place.

Dhaniya Aur Us Key Anginat Tibbi Faidey

Dhanyia(coriander) qudrat ki ata kerda ek beshbaha naimat hai.Ye nanha sa poda her tarah sey insani sehat ke liye mufeed hai. Barr-e-saghir mein ye poda wafer miqdar mein kasht kiya jata hai.Chaahey app is ke pattey istemaal karien ya beej, ye poda aap ko kai  tibbi aur ghizai faidey de ga .Dhaniye ki tareeq kafi purani hai .Ek tehqeeq ke mutabiq dhaniya dunia key pehley masalajaat ya jaribootion mein se ek hai.Is ki chhoti hari pattiyan aur beej tamam duniya ke pakwaanon mein istemaal kiye jaatey hain .Khas ker saalan ki khushboo barhaney ke liye dhaniye ka istamal lazmi hai.

Dhaniyay mein wo tamam ghizai ajza shamil hain jo insaani sehat ke liye zaroori aur mufeed  hain jaisey vitamins ,madaniat, anti-oxidants ,lehmiat waghera. Is ka mizaj sard aur khusk hai .ye salad ke taur per bhi khaya jaata hai aur is ki chatniyan bhi banaiyee jaati hain jo insaani nizam-e-hazm ki durustgi  ke liye jadu ka kaam deti hain;

Dhaniya Aur Ziabatees

Dhaniya ziabatees(diabetes) ya sugar ke mareezon ke liye bohat faidemand hai.Ek bartanvi ghizai jareeday ki tehqeeq ke mutabiq dhania khoon mein jazb ho ker insulin ki secretion ko barhata hai jis se aap ke khoon mein izafi sugar nahi peda hoti.

Dhaniya Cholesterol Ka Dushman

Corriander jism se izafi charbi ko khatam kerdeta hai. India mein hui ek tehqqeq se pata chala hai ke dhnia kaaney se jism mein mojood   kharab cholesterol ka level kam ho jata hai.Dhaniye ke beejon mein ‘coriandrin’ naami ek murakkab shamil hai jo chiknai ko hazm kerney mein madad deta hai aur kharab cholesterol ki miqdar ko kam kerta hai.

Dhania Baray Hazma

Dhnia nizam-e-hazm ki durustgi key liye akseer hai.Puri dunia mein dhaniye ko hazmey ki dawaoon mein istamal kiya jata hai.Is mein mojood resha khaney ko hazam kerwaney mein madad deta hai.

  • Dhaniye ke beej:5 chaye key chamach(bhooney huey)
  • Kaali mirch :2 chaye ke chamach
  • Namak:2 chaye ke chamach
  • Tamam ajza ko bareek pees lein aur chooran bana lein .Khaaney ke baad ek chutki ye chooran khaney se khaana foran hazam ho jaye ga.
  • Bachon ke pet ke dard key liye ek gram dhaniye ke beejon ka powder pani mein mila ker pilaney se aram aajaye ga.

Dhania Sey Qay Aur Daston Ki Bandish

Dhniye ke faidey la mehdood hain .Dhaniya qay aur dast ko rokney ke liye ek behtreen dawa hai .Ye safra ko khatam kerta hai aur jigar ko qoowat deta hai.

  • Dhniye key taza pattey :2 khaaney ke chamach
  • Ajwain:1 chaiyeka chamach
  • Lahori namak :1 chaey ka chamach
  • Tamam ajza ko pees lein aur adhey glass pani mein ghol ker ya phaank ker saath mein pi lein to qay aur  daston ko aaram aa jaye ga.6 gram bhuna hua dhaniya  dahi ya chhach mein mila ker peeney sey khooni daston ko bhi aaram aa jata hai.

Dhaniye Ka Paani Aur Mun Key Chahley

Dhaniye ka paani moon ke chhalon aur deegar  jumla  amraz mein istemaal kiya jata hai.Kuch dhaniye ke pattey ya beej ek glass paani mein ubaal lein aur neem garam pani sey ghararey kerien. Is se moon ke chhaley aur takleef khatam ho jati hai.Dhaniye mein shamil Linoleic acid mun ki garmi door kerta hai aur chhalon ko aaram deta hai.

Dhaniya Aur Nakseer Ki Roktham

Nakseer band kerney ke liye 8-10 sabz dhaniye ke pattey le ker peshaani per ragar lein aur thanda paani daalein .Jald faida hoga.

Dhaniya Ek Thandi Taseer

Dhaniye ki thandi taaseer peshab key jumla amraaz ke liye akseer ka kaam deti hai.

  • Dhaniye key khushk pattey ya beejon ka safoof misri ke saath  pees lein aur paani mein mila ker piyen peshaab ki kami aur takleef mein jald aaram aajaye ga.

Dhaniya Aur Zanana Beemariyan

Dhniye ke beejon mein linoleic acid, ascorbic acid, stearic acid aur palmitic acid ki waafir miqdar mojood hai jo harmone or deegar ratoobaton ko control kerti hai. Ye khaasiyet haiz ki takaleef mein mubtala khawateen ke liye bohat mufeed hai

  • Dhaniye ke beejon ko raat bhar paani mein bhigo dein aur nihar moon pi lein to mahwari ki takaleef sey nijaat mil jaye gi..

Dhaniya Aur Aap Ka Husn

Dhaniya ka juice  husn o jamal ko barhaney ke kaam bhi aata hai .ye juice Chikni jild sey tel ko jazb kerta hai aur keel mahasey khatam ker deta hai.Dhaniyey ki anti septic khasiat eczema aur kharish ke mareezon ko faida deti hai

Dhaniye Ka Tel

Patton aur beejon ke ilawadhaniye ka tel bhi kai amraaz ke ilaaj aur dawaon mein istemaal kiya jata hai Dhaniye ka tel pet ki beemarion,joron ki takaleef,jild aur balon ki afzaish mein bohat mufeed hai .Ye tel dhaniye ke beejon ko bhaap ke zariye paka ker nikala jaata hai.Nafsiyati beemarion mein bhi dhaniye ka tel bohat mufeed hai.

Gharz Dhania ek anmol poda hai jo hazaron takaleef ko door kerney mein madad deta hai .Dhaniye mein qudrat ney wo tamam zaroori ghizai or tabbi ajza shamil kiye hain jin sey insaani zahan faida utha ker sehat aur marz key shobon mein kamyabi hasil kersekta hai .Joron ka dard ho ya qay ki takleef dhaniye ka istmaal her tarah ki takaleef mein faidamand hai.

You can also Check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *