Chicken Biryani Banane Ka Tarika

Chicken biryani har doosre insaan ki favorite hoti hai aur sab bhi shoq se khate hain shayad hi koi aesa insane ho jisy chicken biryani pasand na ho is ke waja is ka khaas zaiqa ha ju k har aik ko pasand ata ha. Chicken biryani k zaiqay k liye chicken biryani banane ka tarika sab se important hoty ha. Ic k liye ingredients tu aik jese hoty hain lakin chicken biryani banane ka tarika har aik ka different hota ha jis ki waja se zaiqa ma bhi thori tabdeeli aa jati hain.  Sab se asan chicken biryani banane ka tarika yeh hai, jise follow kar k ap bohat mazedar chicken biryani tiyar kar skty hain.

Chicken Biryani Banane Ka Tarika

Chicken Biryani Banane Ka Tarika

Chicken 1kg
Dahi 1 cup
Adrak Lehsan Paste 2 Tablespoon
Garam masala 1 tablespoon
Jaifal ½ teaspoon
Taizpaat 5-6 adad
Laal mirch powder 2 tablespoon
Lemon  2-3 adad
Rice 1 kg
Onion(Piyaz) 2 adad
Aalobukhara 8-10adad
Sabz elaichi 4-5adad
Tomato 3 adad
Hara dhaniya Hasb e zarorat
Hari mirch Hasb e zarorat
Podina Hasb e zarorat
Oil 1 cup
Safaid zeera 1 tablespoon

Method

  • Sab se pehle chichen lain aur ic ma dahi, namak, lal mirch powder, adrak lehsan paste daal kar icko adhay ghanty k liye rakh dain.
  • Phir aik daigchi lain aur ic ma oil daal lain aur ic ma chicken daal kar is ko achi tarha pakain itna k chicken gal jaey aur phr icy bhoon lain. Ic trha qorma tiyar ho jaey tu ic ma Jaiphal, javitri daal dain aur mix kr lain.
  • Phir aik alag daigchi lain aur ic ma oil garam karain aur piyaz add krain. Piyaz ko halka brown kar lain aur safaid zeera, garam masala daal dain. Ick bad adrak lehsan paste add krain aur piyazon ko bhoon lain.
  • Ab ic ma pehle se paani ma bheegay huay rice add krain aur phir rice k according paani bhi add kr dain. Jab rice ma se paani dry ho jaey tu inko utaar lain.
  • Ab rice k upper chicken ki aik layer, zarday ka rang aur haray masalay ki layer laga kar ick upper akbar rakh dain aur 10 mint k liye dam per laga dain.
  • Dam khatma hony k bad icko achi tarha mix kar lain. Ab apki biryani khanay k liye tiyar ha.

Yeh Chicken Biryani Recipe bohat asan ha. Agr ap bhi kabhi chicken biryani banana chahe tu yehi chicken biryani banane ka tarika istamal kar sakty hain.

You can also check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *