Baal insan ki shaksiyat ka eik eham juzz hai jis ki waja sy insan khobsorat nazar ata hai. Khaas torr par khawateen ky liye ye bohat ziada eham hai. Baalon ki hifazat aur baal lambe karne ka oil neechy bataya jaa raha hai.
Baalon main oil lagany ka behtreen tareqa ye hai ky baalon ki jarron ko oil sy tarr kr ky khoob maalish ki jaye haftay main ek do baar andy ki sufydi (egg white) ka shampoo karty rehna bhi zaroori hai. Is sy na sirf baalon ki jarayin (root) mazboot hoti hein bal ky wo chamak daar aur ghanny bhi ho jaaty hain. Baal lambe karne ka oil mundarja zayeel hain.
Bal Lambe Karne ka Oil
(1) Ajza (Ingredients)
- Aaab chukandar 1 kg
- Aamla khushak 250 garam
- Barg mehndi 125 garam
- Barg dasmah 125 garam
- Tail till 500 garam
- Andy 8 adad
Tareeka (Procedure)
Pehly aamla, barg mehndi aur barg dasmah ko 1 kilo garam paani main daal kr josh dein. Aag hlki honi chahiye. Jb paani adha jall jaye tou ab chukandar daal dein. Jb ye mowad kholny lagy tou is main andy torr kr in ki zardi sufaydi daal dein. Is mowad ko chamchy sy musalsal hilaaty rahein. Thori deir bad is main tillon ka tail dal dein aur khoob oblny dein. Jb sara paani jall jaye tou aag pr sy otaar lein. Thanda hony dein is ky bad isy nathaar lein. Is tail se baal khoob lambe aur chamak daar hoty hain.
(2) Ajza (Ingredient)
- 4 Kely ki jarron ka rass 1 kg
- Chukandar ka rass 1 kg
- Aamla khushk 250 garam
- Barg mehndi 120 garam
- Barg dasmah 120 garam
- Tail till 250 garam
Tareeka (Procedure)
Kely ki jarron ky rass main chukandar ka rass, aamla khushk, barg mehndi, barg dasmah dal kr josh dain. Aanch dheemi hooni chahiye. Jb adha rass jall jaye tou tail dal dain. Jb sara rass jall jaye aur sirf tail hi baaki reh jaye tou ahista sy nathaar kr bottel main dal lain. Is tail se baal khoob lambe hoty hein.
Baal Lambe karne Ka Tarika[divider]
- Imlli ko raat ko paani main bhigo dain. Subha is ky paani sy sar dho lein is sy baal lambe ho jaty hein is amal ko hafty main 3 baar karain is ky bad nariyal ka tail (Coconut Oil) istimal karain.
- Ek glass garm paani main 2 ando ki zardiyan phaynt lain.
Is paani sy baalon ko achi tarhan tarr kr ky sar ki jild main halki halki maalish karain.
Baaki paani sy baalon ko tarr kr lain sar ki jild pr bhi khoob laga lein. Ek ghanty baad dhoo lain. Ap ky baal naram aur molayeem ho jayen gy. - Motiya aur amla ky oil bhi baalon ky liye mofeed hein agr ye khaalis hoon tou in sy baal kaaly aur mazboot hoty hein aur jaldi nahe girty.