Baal Lambe Karne Ka Shampoo

Baal shaksiyat ka aik bohat eham juzz hain. Agar baal lamby aur ghanny hoon tou bohat achy lagty hain aur in ki parwah mardon sy ziada orton ko hoti hai. Baal lambe karne ka shampoo abi ap ko btaty hain.

Baal Lambe Karne Ka Shampoo

Ajza (Ingredient)

  • Anda (egg) 1 Adad
  • Shehad 1 chaye ka chamach (1 tea supoon)
  • Zaitoon ka tail 2 chaye ky chamach (2 tea supoon)
  • Conditioner 1 chaye ka chamach

Tareeka (Procedure)

Tamam ajza ko aik sath mix kar lain. Is mixture ko achi tarhan apny sar main laga aur 30 minutes ky liye chor dein aur 1 jaga beth jayen taky ye kushk ho jaye. Jab ye sookh jaye tou isy neem garam paani sy dhoo lein. Ye shampoo ap k baalon ko lamba karta aur in ko tawana rakhta hai.

Baal Lambe Karne Ky Gharelu Totkay

  • Sarsoon ky tail ka baqaida istimal lamby baal hasil karny mein madad gaar sabit hota hai.
  • Nariyal ky tail ka massag kr ky isy baloon mein 1 ghanta laga rahny dein 1 ghanty ky baad baal dhoo lein.
  • Leemo ka rus tail mein mila kr baloon mein malish karain.
  • 2 qatry lemon ky ras mein 5 sy 6 qatry zaitoon ka tail mailyen  aur nahany ky baad geely baloon mein massag karyn aur dhoop mein baloon ko sookhny dein. Is sy baal lamby aur chamakdaar ho jaen gy.
  • Baloon ko lamba aur ghana karny ka ek tareeka ye hai ky taaza nariyal ka pani istimal karain.
  • 4 khany ky chamach dahi, 2 khany ky chamach mehndi, 1 khany ka chamach nariyal ya zaitoon ka tail mila kr balon mein kam as kam 20 minutes tk lga rehny dein. Ye amal hafty mein 2 baar kia jaa skta hai.

You can also Check:

About Arsalan Mukhtar

Iamarsalan.com's content is in good hands with Arsalan Mukhtar! He works with a great team to write interesting and helpful articles. If you need the latest news, advice, or cool stories, Arsalan Mukhtar's got you covered! Check out the website and see what they can do for you. Now-a-days it is very difficult to find the quality data on internet because lots of low-quality websites are now designed that contain very useless data on them.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *